Har kisi ne zindagi mein kam az kam aik dafa yeh jumla zaroor suna hoga: "Log kya kahenge?"
Yeh sirf chaar alfaaz nahi, yeh aik soch hai jo humein khud se door kar deti hai. Hum kya pehnain, kya karein, kis se milain, kis raaste par chalayin—sab kuch doosron ki soch ka ghulaam ban jata hai.
Kya Log Waqai Fikr Kar Rahe Hain?
Sach yeh hai ke 90% log sirf apni zindagi mein masroof hain. Woh sirf aik pal ke liye tumhara mazaak banaenge ya tanqeed kareinge, lekin agle hi lamhe mein kisi aur ko discuss kar rahe honge. Aur hum? Hum us ek lamhe ke dar se apni poori zindagi ka direction badal lete hain.
Apni Khushi Ka Kya?
Socho agar tumhe dance karna acha lagta hai, lekin log kahen "yeh kya fazool harkat hai," to kya tum apni khushi chor do ge? Agar tumhein shayari likhna acha lagta hai, aur log kahen "kitna filmy hai," to kya tum apna jazba daba do ge?
Logon ki soch ka koi theka nahi hota. Aaj woh kahen ge tum pagal ho, kal kahen ge "yaar banda kamaal kar gaya."
Soch Badlo, Zindagi Badlegi
-
Jo log sirf tanqeed karte hain, unka kaam hi yeh hai. Tumhara kaam hai apni manzil talash karna.
-
Jab tum khud par yaqeen karte ho, duniya ka har “kya kahenge” ek funny joke lagne lagta hai.
-
Zindagi sirf ek baar milti hai. Aur yeh kisi aur ke expectations poore karne ke liye nahi, apne sapne jeene ke liye bani hai.
Aakhri Baat
Agli baar jab yeh soch dimagh mein aaye ke “log kya kahenge?” to muskurana... aur kehna:
“Woh apna kaam karein, main apna raasta.”
No comments:
Post a Comment