Posts

Showing posts from 2026

Educated, Yet Unheard: The Silent Struggles of a Woman

Image
          Educated, But Not Free: A Woman's Struggle for Her Own Identity Kabhi socha hai, ek ladki ko bachpan se padhaya kyun jaata hai? Taaki woh educated bane, samajhdaar bane, apne pairon par khadi ho sake aur apni life mein kuch kar sake. Lekin kya sach mein use woh freedom milti hai jiske liye use educate kiya jaata hai? Hum aksar kehte hain ki aaj ke time mein girls ko equal opportunities mil rahi hain. Parents apni betiyon ko padhate hain, unke future ke liye mehnat karte hain aur unhe successful dekhna chahte hain. Lekin ek important question hai: Kya education ke saath unhe apni life ke decisions lene ka right bhi diya jaata hai? Education Hai, Lekin Freedom Kahan Hai? Ek ladki ko educate karna achhi baat hai, lekin education ka actual purpose sirf degree lena ya job paana nahi hai. Education insaan ko sochna, samajhna, questions poochna aur apne decisions khud lena sikhati hai. Lekin hamare society mein kabhi-kabhi ek ajeeb contradiction dekhne ko mil...

Tum Saath Nahi Ho, Par Abhi Bhi Tum Hi Ho | Unsaid Story After Breakup

Image
  Tum Saath Nahi Ho, Par Abhi Bhi Tum Hi Ho Maana ki ab humari baatein nahi hoti, roz mulakaatein nahi hoti, lekin main roz apne hi khayalon mein tumse baat karti hoon. Aankhein band karke tumhe mehsoos karti hoon. Bhale hi tum mujhse door ho, lekin mere liye tum aaj bhi sabse paas ho. Dekho na, tum bhi khud ko busy rakhte ho taaki meri yaad tumhe disturb na kare. Aur main bhi tanhaai se bhaagti hoon, taaki mujhe tumhe sochne ka mauka na mile. Zindagi ki is jung ko samajhna bada mushkil hota hai, jahan hum chah kar bhi saath nahi reh pa rahe, aur na hi kisi aur ka haath thaamna chahte hain. Kisi aur ke ho jaane ka khauf abhi bhi dil ko sataata hai, jaise maano dil aaj bhi tum hi ko apne paas rakhna chahta ho. Har ek khayal se jude ho tum. Kisi bhi cheez ko dekh kar tumhara khayal aa jaana— ke tum hote to tumhe batate. Kisi jagah ko dekh kar tumhari yaad aa jaana— ke yahan hum kabhi saath aaye the. Tum har us jagah ho jahan main bina soche ruk jaati hoon. ...